kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

farasat anees & hashim nawaz - tamannah كلمات الأغنية

Loading...

[part i]

[verse]
sarr pe kafan baandhe khada hun mein (khada hun mein)
puch raha khud se inki khatir jange ladha kyu mai? (ladha kyu mai?)
kal duaein le ke aate the mere liye sab
koi bata de dushman apno ka aaj bana kyu mai?
uh
ab sarhad bana ghar
ghar bana sarhad
sarkaari mulazim mujhe aa ke pakadh mat
mujhe satati hai ghar walon ki mohabbat
kaise mai badlu bolo apna ye muqaddar?
kaisa mai bolu mujhe khud se ho rahi nafrat?
nahi tum poocho mere iraade aur maqsad
jo hukm maanu to na deni koi shabashi mujhe
agar na maanu to phir de dena tum phaansi mujhe
baghawat aib hai par baaghi gunahgar nahi
ye kala qarz hai yahan koi kalakaar nahi
meri asliyat se inko zyada pyaar nahi
sach agar chube tujhe to mai zimmedaar nahi
apne watan se mai qadar maangu
kis khushi se parcham ke tale qabar maangu?
apne liye uparwale se mai fikar maangu
shahadat maangi thi par aaj maghfirat maangu
mera qasoor mere mu pe aa ke karo bayaan
tere asool kafi nai hain nayye karo khada
nazar na milegi tujhse jab mujhe do ge saza
hashim amar hai jab tab yahan zinda iski kala
ha
thoda sa khauf
thoda sa zinda zameer
khoya jo sab sabar karega ye fakeer
paise ke bina lagega ye sabko ameer
meri koi qeemat nai hai tu na mujhko khareed
agar ye rooh bechun to duniya hogi qadmon me
par bata mujhe rakha kya hai duniya ki in rasmon me?
na ghurbat hoti khatam paisa lagta asle pe jab
kaise phir upar wala rehmaton ko yahan rehen de?
insaniyat ke bina deen laana chahte hain wo
insaanon me jhooti ummeed laana chahte hai wo
qaum jaanti na qaum shaksiyat parast
bolo wo naik kaise mureed rakhna chahte hain jo?
maut maange bina maut ki tayyari ke
nazar na daalega ye kabhi apne maazi pe
saja rehta bashar andar se par khaali ye
in ke kehne se hi kya banunga likhari mai?
[part ii]

[verse]
likhari mai
likhari mai
banunga likhari mai
likhari mai
banunga likhari mai
in ke kehne se hi kya banunga likhari mai?
in ke kehne pe jo g_ya to jeete ji marunga
inki suni to phir kahi ka mai nahi rahunga
majboori mai sabki dushmani kar lunga qabool
par inke liye dil me nafratein nahi rakhunga
zindagi thodi aur hai lakhon khuwahishaat
jama karega marne tak aur jayega khaali haath banda
sochega baad me pehle karega baat banda
logon ko chor ke mangega unka saath banda
hashim samandar
hashim hi dooba usme
hashim tha khoya par kya kabhi dhundha tumne?
nahi bola mai aur na kabhi poocha tumne
jaana kya jaane wale aate kabhi murh ke?
mai kitni baatein karu?
aur kitni karti asar?
kitni dilon pe lagti?
kitni samajhti aqal?
kisi ko kitni khabar?
kitna batati shakal?
kya kala meri sambhalegi ye agli nasal?
naraaz hone walon ko manana chahu
jin se ho duri unko paas ab bulana chahu
aashiq mizaaj haqiqat se karu pyaar itna
sab kuch mai jaan ke bhi khud ko gawana chahu
meri asliyat se na waaqif mai na waaqif tu
meri iss mehfil me na zaahir mai na kaafir tu
zindagi dene wala karta har din zaahir ham pe
maut thikana hai musafir mai musafir tu
[outro]
farasat on the beat b_tch

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...