kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

farasat anees & hashim nawaz - hazaaron saal كلمات الأغنية

Loading...

[intro]
farasat on the beat

[verse]
i still run this sh_t wo bilawajah ab bhi bhaagen
underrated bhai aapka dikhai na de
wo mujhse mil ke bole “hashim bro aap kyun ho saade?”
kuch saabit karne ko nahi hai koi inko samjha de
mai chahta naam zinda rahe ye hazaaron saal
taking over by the left, right, baarobaar
cup of tea is all they get phir sutta karo paar
ibaadatgaahon choro pehle khud ko karo saaf
jo likhta sh_t i mean that kahunga mai ye fakhar se
“kiya kyu rap tha?” puchi jaa ke meri qabar se
aur apne bacchon se bhi
aur unke bacchon se bhi
nasal badalti par kat’ti ye apne jadhon se nai
maslon me karta raha rap
karta rahunga
yahi shanakht yahi raasta yahi kahunga
baaghi likhari tu bata de baadhi marega
ispe huk_mraani karne waale marengе par ye rahega
badhe bol bhi
uparwalе ka khawf bhi
neeche walon ka khor bhi
sunne walon ka shor bhi
ye mere saath hain par bro ye mere log nahi
seedha bolu zyada baatein karta gol nahi
tum baatein chodoge toh i might pull up in a vigo
i got b_tches khud ko beche jo on f_cking bigo
i got b_tches khud ko samajhti jo talented hain
but i got brothers too bole jo “bhai inki nahi lo”
agar ye shot thoke nishaana phir mere lun se
hoti hai hikmat jab dilon ki baatein aati labb pe
hoti hai fikar apni thodi si bhi nai ab
jabke khud ko pata ki na pata hona kya hai agle lamhe
mai maafi maangu
saath duniya ki shohrat bhi
naam sada jo rahe
hasaas apni hai surat_e_haal
ab agla qadam dekhu kaise jab hai nazre upar?
iss kala ki hai qeemat
maangi par tu meri rooh mat
mai aam shehri
sheher ki banu shaan kaise?
bheje me chalta kya hai karu ye bayaan kaise?
ye mayaar bolo rakhu barqarar kaise?
bata mujhe apni kala ko bolu haram kaise?
kitne naraaz
kitno ko nai pehchaan paata
har mulaqat ke ab saath imtehaan aata
jo teri izzat mere karne se to kaisi izzat?
aisi izzat ko qadam qadam pe zawaal aata
mai badnaam bura jab tak na aata hun samajh
tu lele aaja lele matlab inn baaton ka galat
ab gin raha din jaise khatam hone wala sabar
mai khud se tang phir bhi nasamajh hain karte hasad
dunga pyaar lekin maangi na tu waqt zyada
chori tu mujhse karwana na koi waada
chutiyapa dekhe tabhi hashim hua sakht zyada
laalach nahi thi tabhi pindi boyz ne takht baanta
mai diwaana khud ka
mujrim khud pe dhaata zulm
ab to fariyaad karta ki jaaye ye khaata kul
na boli “hashim tere haath me tha rizq tera”
na boli kabhi “tune khud ko tha sambhala khud”

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...