kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

dharmik - ek pyar ka naghma hai كلمات الأغنية

Loading...

[intro: lata mangeshkar]
ek pyar ka naghma hai
maujon ki rawaani hai
zindagi aur kuch bhi nahin
teri_meri kahaani hai

[chorus]
aaj baney humsafar
kal_ich milaaye thae mere se tum nazar
vaada yeh umr bhar
jab tak jeeyenge, jeeyenge kuch iss qadar
aaj baney humsafar
kal_ich milaaye thae mere se tum nazar
vaada yeh umr bhar
jab tak jeeyenge, jeeyenge kuch iss qadar

[verse 1]
aji sunte, main khush_kismat
meri kundali mein tum thae
aji sunte, hui saari maangein poori
jab main bhara sindoor se
aji sunte, tum duniya meri
hum tumhare mein gumm thae
aji sunte, aji sunte, aji sunte, nahi sunte
anjaane se haath milaana
saat vachan, saat janam saath_saath nibhaana
laxmi kе kadam leke aaye mеri zindagi mein
badle kismat badle aashiyana
galati_gussa, that’s how we both are blessed
maskhara main, tum cute of the cutest
log meri baaton pe gaur farmaate
aur hum tere aage bas munh hilaate
[chorus]
aaj baney humsafar
kal_ich milaaye thae mere se tum nazar
vaada yeh umr bhar
jab tak jeeyenge, jeeyenge kuch iss qadar
aaj baney humsafar
kal_ich milaaye thae mere se tum nazar
vaada yeh umr bhar
jab tak jeeyenge, jeeyenge kuch iss qadar

[verse 2]
aji sunte, main khush_kismat
meri kundali mein tum thae
aji sunte, bhale saamne pahaad
tum dil ka sukoon thae
aji sunte, shaitaan masoom
miley chhattees gunn se
aji sunte, aji sunte, aji sunte, nahi sunte
asaan nahi ghar basaana
apno se bichhad ke apne banaana
upvaason ka phal maine tumko maana
kabhi roothun toh aur zyaada pyaar jataana
shikayaton mein chhupa pyaar tumhare liye
ziddi se bani zimmedaar tumhare liye
rishte nibhaana sikhaate mujhe swami
toh time se ghar aa jana aap bhi kunwaare nahi hai
[chorus]
aaj baney humsafar
kal_ich milaaye thae mere se tum nazar
vaada yeh umr bhar
jab tak jeeyenge, jeeyenge kuch iss qadar
aaj baney humsafar
kal_ich milaaye thae mere se tum nazar
vaada yeh umr bhar
jab tak jeeyenge, jeeyenge kuch iss qadar

[outro: lata mangeshkar]
ek pyar ka naghma hai
maujon ki rawaani hai
zindagi aur kuch bhi nahin
teri_meri kahaani hai
ek pyar ka naghma hai

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...