kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

delhigamerak - sawera lyrics

Loading...

kheton ki faslon mein teri aakhein dekhu main
samay ko bhulu, teri yaadon mein bhi jhumu main
guzzra woh pal mera, aansun se aankhein hui nam
tujhse pucchunga nahi, tere bin kaise jiyu main…

hawa ghata main aati yaad teri aaj bhi
aankhein bhari meri dikhti na hai saadgi
ro raha hai mera har ek alfaz bhi
jeena kya hai ab toh marna bhi laazmi…

kabhi shuru kabhi khatam yeh kissa hai naya
mujhe tu bola ruk, fir tu bata kaha g_ya
kiya tha ishq maine, mukhtasar tha yeh safar
ishq mera ektarfa hi kyu reh g_ya…

ektarfa dard deta hai toh yeh bahut
khoya main aaj hu mujhko na tu jaanna
khada hu aaj bhi jaha tu chhod ke g_yi
mujhsa na koi hai tu yeh baat meri maanna..

khafa nahi main tujhse, khudse hi main hu khafa
tofa tera aaj bhi sambhal ke rakha
maafi bhi maangi bhale thi naa meri galti
tujhse zyada yeh dard mera hai saga…

banjar zameen mera dil hai ab ban g_ya
terе bin jeete jee ab main bhi mar g_ya
badhna pyaar tha, par faasla kyu badh g_ya
yeh tera aashiq kalakaar ban kе mar g_ya…
zamana chhuta mera, dil lagi bhi chhut g_yi
aankhein meri khudki aankhon se hi rooth g_yi
na lunga badla tujhse, jaanle tu janna
dil ko mere tu bhi chaand banke loot g_yi…

na kiya hai nasha, yeh aankhon mein nasha hai tera
maine socha tere sang dekhunga sawera
duba jaa raha hu main jaane na kahan
tere bin zindagi mein bas bacha andhera…

roothna tera mujhse tha na laazmi
waadein jhuthe tere, baatein saari kaagzi
ro raha hu par na nikle ek awaaz bhi
ghut raha gala yeh par tujhko ek ehsaas ni…

shaam hui, hone waali ab raat bhi
sukha main jab ki ho rahi barsaat bhi
adhura main, ab na pura kar sake mujhe
jo kar sake woh dekhne lagi aukaat thi…

tham rahi kalam yeh meri, aankhein ho rahi hai nam
muskura raha hu aaj bhulke mein saare gam
samay ka pahiya bhi kabhi toh jaana ghumega
dil toh tuta hai jo saath mein nahi hai hum

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...