kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

chen-k - wesa beta كلمات الأغنية

Loading...

lafzon me, behisi
lehje me, badtameezi
chehre pe, mere tezi
har baat pe kyun aae hasi

ha ha! baron se badlihaazi!
nah nah! karun bus apni marzi!
maa baap chaahen ek nek beta
kaash main hota wesa beta!

yea. (x3)
you know i wish. (x3)

suno

jab dekho meri maa baap se behes
gunah pe gunah sir mera tehes nehes
khuda se saza, bewajah larke leta
khuda de raza banade wesa mujhe beta

jaga jo rakhe yaad, maa baap khuda ke baad
chaahe din ho ya raat maa baap ka jo de saath
haath har ghari jo pakre, kaamon me dikhaae na nakhre
banaade wesa beta jo ghari ghari na jhagre

jo har ghari bus soche kese maa ka dil jeetega
kese bachpan ki tarha tofe maa ko laake dega
kese huliya bhi unki marzi ka rakhega
banaade wesa beta jiske dil me baap ka dar tha

“mar ja! tu mera khoon nahi!”
“ghar ja! yeh tera ghar nahi!”
“jaanwar jesi zindagi!”
“bheja tera khaas nahi!”

baaten puraani kuch
kab se sir pe ghoome ek do
ganne like main ne tab se
gaur se mujhe suno, yo

[chorus x2]
kaash, main hota wesa beta jo
zinda laash ki tarha chalta phirta jo
apne maa baap ki daant se na chirta jo
apne maa baap ka dil nahi torta

taash ki tarha rahi meri yeh zindagi
maa meri do sauteli aur saghi
sauteli jese saghi kabhi, kabhi saghi jese sauteli
ajeeb si rahi zindagi isme bhi meri kia galti

ameeri aur ghareebi dekhi main ne bare dehaan se
mushkilen thi sir pe mere maa baap pareshaan the
meri maa majbooripan main chup ghar ke waaste
meri baap majbooripan main chala galat raaste

lekin haath se baap ke ek niwaale khaas the
paison me laaparwai lekin paala hame pyaar se
maa ke aankhon me aansu mere baap ko na bardaasht the
tabhi chala wo esi jaga jahan pari unko buri aadaten

un buri addaton ki wajah se paida andar yeh jaanwar
jo sochlia wo karun main, andar kisi ka na dar
maa baap fikar me hoga bura haal qabar me
hoga bura naam khabar me phir main sochun mar mar ke

[chorus x2]
kaash, main hota wesa beta jo
zinda laash ki tarha chalta phirta jo
apne maa baap ki daant se na chirta jo
apne maa baap ka dil nahi torta

maa.. kya tujhe yaad nahi?
kese hafton main bees rupe ke liye tarasta
maa.. kya tujhe yaad nahi?
kese phate kapr-n ko main fashion banata

aj bees hazaar hafte ka kharcha
aj yahi phati jeans dekho mera charcha
kaamiyabi kab ki main ne karli hai haasil
parhe likhon se ziada kamaata yeh jaahil

per nadir ko kyun kuch parhe likhe lagen jaahil?
is maahi ko kyun duniya nakli lage baahir?
kyun naukri ko saara samajhte hain kaamiyabi?
gaur se yeh suno maa! naukri, naukar

kya tu chahti hai ke mein banun kisi ka naukar?
kya tu chahti hai ke main rahun andar se mar kar?
arey sochen zara gaur se mushkilon ne badla mera bheja
jesa bapp wesa beta, wesi soch wesa lehja!

[chorus x2]
kaash, main hota wesa beta jo
zinda laash ki tarha chalta phirta jo
apne maa baap ki daant se na chirta jo
apne maa baap ka dil nahi torta

arey duniya gai bhaar me!
fikar sab ki jhaar de!

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...