kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

blobhit - chahat كلمات الأغنية

Loading...

tumhari mehfil me aisa kaun hoga
jisne roshni nahin dekhi?
aur hamari mehfil me aisa kaun
jisne andhera nahin dekha hoga?

tum kabhi hamdard bhi the?
shayad ye bhi meri galti hai
ki mujhe itni aas thi
par kabhi ehsaas nahin hua thoda

mujhe kehna ni kabhi ye ki
chaaha nahin tumhe maine
mera toota dil iss baat ki gavaahi

haan main hasta har baat pe hun zyada aaj kal
hasta sirf tab jab dil mera bhaari

meri khushi ka thikaana hai par gham ka ni koi
mera dil, mera dil, mera samjha ni koi

mujhe karta ni koi, shaant
koi nahi

kaash, mainey, ye jawaani
chahat, me, duboi, nahin, hoti

kaash mujhe, koi, bhi
ummeed, nahin, hoti

kaash main
uth paata ik subah
bin khayalo’n ke tumhaare
kaash, lagti na ye
zindagi adhoori

raato’n ko na soya jaaye
bin kiye kuch baatein
inn diwaaro’n se

shaamein
kho g_yi hain jabse unn nigaaho’n me hai
dekha mainе kya

najaane aisa
karta hun ab har gaane me baatеin
main tumhaari

kheli na thi baaziyan
jo haari jaati iss kadar…

hote hue saanso’n ke
jo jaan ko zaruri hai

kaise dillagi me hain yahan
naseeb hoti shaamein
muskuraane me hai jaan nikal jaati

aahat mein har gham shaamil mere
beet ti jo kisi bhi begaane par

main firta hun ruswa
zyada kya hai iss se jo hota kabhi chahne par?

khoya maine khudko aur tujhko
par maine kabhi tujhko toh paya bhi nahi tha

ye mera sheher, par lagta hai aksar..
main kabhi yahan ka nahi tha

rakh lo ye galliyan
ye sheher saara
taaj mera, takht mera
padta ni fark hai mujhe

kamaaya maine inko par socha nahi itna
ki kya kabhi kisine hai kamaaya bhi mujhe?

nahi

toh milta kyun inko main itni aasani se
aur kyun hun bhaagta main paane inhein?

aao kabhi chahat se, nahi fursat me
mera dil bhara har shaqs se

sabki saazisho’n se hun main thakk chuka
main oonchi manzilo’n par baitha shaamein kar tabah

iss se buri kya saza?
ki haasil har mukaam
fir bhi leke baitha bhaari dil
aur nazrein tanhaaa

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...