kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

arpit dayal - i wish lyrics

Loading...

i wish hum milte na kabhi to pata ni hota ki pyaar kya hota hai
i wish mein hota na samajh to samajh ni pata ki yaar kya hota hai
i wish tu thora ruk jaati
i wish tu ese na jaati
i wish main palat du waqt aur milu tujhse jab main jaan tu laut aaye
wo ladki hai badi masum si wo janti mujhe bakhubi
na jane usme kya baat hai aisi jab dekhu main usey to lagti sukun si
dikhti wo sab se alag hai
boli bhi uski saras hai
mangti nahi wo chand ya taare usko na inse kuch padta farak hai
wo apne sapno me khoyi hui
wo jaagi jaagi lekin soyi hui
wo aayi hai jabse yaha meri kismat bhi jagi jo kabse thi soyi hui
sayad main bol na paun ki mere liye uske mayine kya hai
hidayate bhul na jaun wo mujhe savare to aaine kya hai
tu aisi hi rahna hamesha tu kabhi bhi badal ni jana
tu jaisi hai waisi hai theek tu nikharti rahe bas bikhar ni jana
wo duniya se ladti akele hi mushkil hai usey harana
teri jaisi kahi dekhi nahi tabhi to bana main tera deewana
meri aankhon me basa hasta wo chehra ab khud se bhi jyada tum mujhko jaruri
mil jao toh ho kahani yе puri jo salo se padi hai jana adhuri
tumhe sayad main kabhi paa nahi sakta par rab se dua tеri khwaish ho puri
aur tum mujhko aise mil jaogi kahi socha tha maine nahi
tum jaha bhi hogi ab khair se hogi
laga na tha aise tum gair see hogi
chah kar bhi tumhe main chhu nahi sakta
samundra me jaisi tum lahar see hogi
par kuch baatein tumse main keh nahi sakta
ye dariya hai aisa jo beh nahi sakta
tumhe khone se mujhe lagta hai dar aur tere bina main kahi reh nahi sakta
mohabbat ka diya jalao toh sahi
jara yaadon me mujhko basao toh sahi
kuch kehti hai tumse hamari ye aankhein
jara humse nazre milao to sahi
tere bina jeena mushkil hua
tujhe batana ye mushkil bada
chupa lu toh duniya ye kayar hai kehti
bata du toh kehte tu sayar bada
likhe hai gaane bahut aur teri baaton me bahane bahut
sayad ye gaane tum sun lo kabhi toh phir yaad na karna jamane ko
nazmo se palke bhigane do
armano ko tum ab jalane do
ye gana toh teri nishani hai bas yahi tha tumko batane ko

كلمات أغنية عشوائية

اهم الاغاني لهذا الاسبوع

Loading...