kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

archiet k - kahani كلمات الأغنية

Loading...

is kahani ka hashr toh mein khud bhi nahi jaanta

ek chotasa ghar tha band usme ek ladka

baarishka mausam saal 2014

baitha woh khidki pe kholke parda

khamoshise dekhta woh boonde girti hui

chai bhi thi haathme woh kabki thandi hui

rehta akela aksar toh zabaan bhi band toh hi thi

kon pehchanta uski akhonki becheni

rehta woh gharme tha par uska wo ghar na tha

jaane kis cheez ka usko intezaar tha

kaam pe jaati tab bhi uski woh maa thi

ladke ko lagta ki woh boj banke ho palra tha

pyara tha chotasa unka woh khaandaan

jaane kis buri nazar ka pad g_ya tha ab saaya

dekha usi subeh ko toh baap ko marte usne

aankhein toh phati jo maut pehli baar dekhi

utha bhi nahi paaya shareer se woh bachha tha

mehez 13 saal ka tab dil ka woh sachha tha

ek taraf bachpan aur ek taraf maut

chunta hi kya woh joh be_ikhtiyaar tha

tabse woh ladka rehne laga bejaan

ujdi hui duniya me jaise koi mehmaan

aur mehеz ek mahine me usnе 2 maut dekhi

chotese kandhon pe janazo ki boj uthi

dakhda ab zor se tha ek hi baar uska dil

darr se tha khamosh zimeedariyo ki khauf jo thi

usne ghar bhi toh badle 10, bees saal me

ab umar thi 20 aur tajurba tha 80 ka

woh samaj g_ya duniya ka dikkhava hi nakli tha

kon bakshta shifa jab wo paida hi zakhmi tha

woh ab darbadar ghoomta hai berojgaar

karta hai khudki woh maut ka intezaar

jine me khushi use ab hoti bhi kese

uske thi zehen me maut hi sukoon

duniya ek iblees jo sirf deti hai dukh

samaaj me to uska kabhi nahi tha wajood

gandhi ke 2 bandar uske paidaishi dushman

aur kati thi zabaan toh ek bana dost

joh bol hi nahi pata woh bura kaise bolta

par bachpan se usne bura suna bura dekha

toh rokta koi use kese bura sochnese

khafa tha woh rabse ki hai bhi ki nahi bhagwaan

sawaalo ki fehrist par bechme thi deewaar

rab ke aur maut ke dar pe khada tha woh sehma

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...