kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

amitxxx - thank god كلمات الأغنية

Loading...

(verse1)
bhagwan ka shukarguzar
jo naya din dekh raha hu
maar rahe hn kitne hazar
par abhi bhi sanse le raha hu
ankhe nam
waqt hai kam
kitne baato ke gum
anpe sapno ko hasil karne ka honsla ho raha hai k_m
achi meri neeyat hai
par buri meri asliyat hai
kitne hnn yahan zandgi se durr bhage
dukhi apne aap se jeena nhi chahte
roz hu main lardta
par kuj na khass banta

(hook)
dukhi hone ke baad
karu rab ko yaad
main karu faryada
sahi raah dikhlana

(verse1)
paise aur fame soch mein nhi hu rakhta
kala ki hai kadar gane dil se hu likhta
chahta toh main in sabke jaise ban jata
par rooh ko bech ke main kaise jee pata
inn sab ke piche kardi hai hadein par
kai toh g_ye apni umeede haar
na hi koi bada star
na hai koi badi car
mera mann kisi baat se na dukhi hai
zinda hu main iss baat ki khushi
kyuki fir bhi
main hasil kar sakta hu cheeze kafi
hum sab hnn akеle na hai koi sathi
apne hi dum pe chalani hai yе zandgi ki kathi
kya kabhi ayega waqt
ab hone laga hai thoda shaq
kon dilayega vo mukam jo hai mera haq
ye school/college mein padhi kitaabein
gano ke liye jaagi jo raatein
ye duniya jeet lene wali baatein
par jo bhi hua upar wale tune theek kiya
apni burai ka samna karna maine seekh liya
jo sachche dil se mangega vo milega
paudha jo beejega vo ek din falega
(hook)
dukhi hone ke baad
karu rab ko yaad
main karu faryada
sahi raah dikhlana

(verse3)
sahi salamat khada hu apne pairo pe
janne kitne hazaro mein
shukriya karta hu uski rehmat pe
muje bharosa apni mehnat pe
jab dekhu khudki dikkaten
yaad aaye duniya mein aur kitni badi musibaten
kiski ko 5star bhi pasand na aaye
koi soche kash sukhi roti mil jaye
kitni ajeeb hai ye duniya
raaz zandgi ke dhoondhne lage toh lag jayegi sadiyan
kabhi_2 hoti hai khudki chinta
kitne hn log jinka sab ja raha hai cheenta
rehta hu asli koi naqab nhi hu pehenta
ek hi jagha jana hai sabhi ne
isiliye sukh ke pal hun ginta

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...