kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

albaari - pareshaan haal hoon main كلمات الأغنية

Loading...

(intro)

pareshaan haal hoon main
lajawaab sawaal hoon main
mumkin nahi palbhar mein sambhalna
muddaton se nidhaal hoon main

(bridge)

zamaana_e_daraaz se yeh afsurda afsaana zindagi ka chalta aa raha hai
apni manzil tak kaise pohoche naasaaz toh har qadam pe ladkhada raha hai
sahil ka tasavvur bhi karey kaise bahr_e_zulmat jo la_mahdood nazar aa raha hai
zindagi se naashaad, zindagani se naaraaz
aaj khafa khafa sa hai mera mijaaz
dodtey dodtey g_ya haaf
na jaane kab lagegi manzil haath
be_chaini bhari padi zehen mein be_hisaab
kab mehsoos hoga sabr_o_sukoon ka ehsaas

(verse)

kya bayaan karein aziyat_o_aazaar
kya numaaya karein zakhm_e_dil hazaar
tootna toh laazmi hai
muqammal dil waalon kya sunaaye
be_kas ke haal_e_dil ka behaal ashaar
yeh zindagi manind kisi gulistaan mein
arson baad aayi ho bahaar
aur main woh be_zaar titli jisey na raha ab gulon ka khumaar
khilkhila uthti thi jo dekh ke phoolon ki bisaat
utar g_ya ab uska iss shokhi ka bukhaar
dar_haqeeqat mein dekhеin toh
rishton ka bhi kuch aisa sa hi hai hisaab
kai logon ko hum nai pasand
toh kuch log ab humein bhi hain naagavaar
pareshaniyan beshumaar hai humarеy apne paas
koi karey mubaalgee apne dukhon ki
toh ab nai rakhtey hum unse ikhtilaaf
yaa ho jaaye log har naya savera dekh ke be_haal
humein kya, hum toh kal bhi thay nidhaal aur aaj bhi hain nidhaal

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...