albaari - falsafa كلمات الأغنية
zindagi ka bas ek falsafa
ke koi kisi ka na hai saga
dafan karna toh door ki baat
unse janaaze pr kaandha bhi na laga
bhookh thi khushnuma zindagi ki
majboori mein afsurda haalaaton ko hi chabana pada
aur kaafi dekhli rangat iss zamaaney ki
magar aakhirat mein kafan ke korey rang ko hi apnaana pada
woh shakhs apne aap se itna ghabraane laga ke
ab aaina dekhne se pehle mukhota lagane chala
tasavvur ek haseen zindagi ka karta tha woh magar
ab khwaabon ka sahaara lekar usey haqeeqat se door jaana pada
suroor zindagi ka chadhta kaise
jab ghumon ka nashaa ab tak utra nai
aur meri jaan ki dushman toh meri zindagi hai
mujhe maut se koi khatra nai
padhney do kacchey ye dhaagey bandhan ke
mujhe bhi rishtedaariyan nibhane ka koi shauq nai
apno ne apni haqeeqat dikhadi, woh kaafi hai
mujhe gairon se gaddari ka koi khauf nai
jahaan_e_shauq_o_tamanna mein, ayе zindagi teri aabru kuch aur thi
magar asal duniya mein teri koi izzat nai
haar kе swaad ki aisi aadat lagi
ke ab jeet mein milti woh lazzat nai
sunn pad g_yi hain nasey saari
j_sm mein bhi dikhti nai harkat koi
aaye din guzartey hain farishtey meri gali se
magar meri dehleez pr deta nai dastak koi
ujad g_ya khwaabon ka aashiyaana
bikhar g_ya yaadon ka shaamiyaana
zindagi ki hawa ne kiya ye kaarnaama
كلمات أغنية عشوائية
- juliengaribaldi - bigflo & oli’s “nik ta mère” (3) كلمات الأغنية
- grimes - david كلمات الأغنية
- burgaboy - rollin' كلمات الأغنية
- dwaynelukecarter - music now كلمات الأغنية
- luxury trav - myself كلمات الأغنية
- stille willem - fijn uitgedoste barbaar كلمات الأغنية
- simia - bill murray كلمات الأغنية
- chaka khan - ladies' man كلمات الأغنية
- ceeingee - str8 up كلمات الأغنية
- manast ll' - wind off tha beach كلمات الأغنية