kalimah.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

albaari - aarzoo meri jamm-e-gafeer se كلمات الأغنية

Loading...

(chorus)

aarzoo meri jamm_e_gafeer se
ke iss faqeer ko tadpaaye na
dikha ke khwaab aasmaano ke
usey banjar zameen pe giraaye na
fasaana badal jaayega haqeeqat mein
bas uske hauslon ko dabaaye na
aarzoo meri jamm_e_ghafeer se

(verse)

be_wajah ki be_kasi mein be_panah basta jaa raha hoon main
be_rukh zamaane ki be_dardi se be_intehaa pachta raha hoon main
jahaan apne hi jaan lene ko utaaroo hai apno ki
aise jahaan se apnepan ki ummed laga raha hoon main
khaaliq_e_kaiinaat mit ti nazar aa rahi mujhe duniya meri
bandagi teri chhod ke jabse insaano ko sar pe baitha raha hoon main
baad_e_saba sе mahroom
baad_e_samoom mein bahey jaa raha hoon main
kya faaida gairon sе dil lagane ka
jab apne aap se hi parey hota jaa raha hoon main

(bridge)
khatawaaron ka shahr hai
gali gali mein kahar hai
humpe chaaya andhera aisa
bhool g_ye kya subah kya dopahar hai

(chorus)

aarzoo meri jamm_e_ghafeer se
ke iss faqeer ko tadpaaye na
dikha ke khwaab aasmaano ke
usey banjar zameen pe giraaye na
fasaana badal jaayega haqeeqat mein
bas uske hauslon ko dabaaye na
aarzoo meri jamm_e_ghafeer se

(verse)

mar ke asuuda ho jaaoon
uss se pehle jeene ka ek khushaal manzar dikha de khuda
darr ke roshni mein so jaaoon
usse pehle andheron se ladna sikha de khuda
kisi gair se jaan_pehchaan banaoo
uss se pehle mujhe apne aap se mila de khuda
chaar din ki lambi zindagi jeene ki tamanna nahi
mujhe bas sukoon ki ek raat ata farma de khuda
kab tak darakhshaan hoga sitaaron ke bharosey
iss mehtaab ko apni chamak ka ehsaas kara de khuda
likh baitha mazmoon apni khwaahishon pe
jo tujhe ho gawara uss khwaahish ko muqammal karwa de khuda

(outro)

khatawaaron ka shahr hai
gali gali mein kahar hai
humpe chaaya andhera aisa
bhool g_ye kya subah kya dopahar hai

كلمات أغنية عشوائية

كلمات الأغاني الشهيرة

Loading...